Maroof mazhabi rahnuam Molana 
Tariq Jameel ki 
shakhsiyat sy hr shakhs mutasir hai. q k unki shakhsiyat ny bht bary 
bary logon o seedhi raah dikha kr unko islam ki taraf raghib kiya hai. 
haal he men Molana Tariq Jameel saha ny apny aik beyan men judges ko 
nasihat ki hai . aeye un k diye gaey beyan pr nazar dalty hen. MOLAna 
Tariq Jameel sahab ka khna tha k sirf insaf he qomon ki taraqqi ka zeena
 hai . bad deyanti jhoot or zulam krny wali qomen kbhe taraqqi nhe kr 
skten. Punjab Judicial Acadmy lahore men civil judges sy khitaab krty 
huey Molana Tariq Jameel ny kha hai k jis qom men insaf bikta ho or 
judges k qalam ki qeemat lgti ho us qom ko kbhe izzat nhe mil skti. 
Molana 
Tariq JAmeel shab ny kha k mashry men phela hua zulam 
khtam krna hr shakhs ki ikhlaaqi zimmy dari hai. ghisy pity adalti 
nizaam men judges bhe qanoon k shikanjy men jakry huey hen or khul kr 
insaf nhe kr skty. qomen ikhlaaq or ala iqdaar sy wajood men ati hen. 
Molana Tariq Jameel mazeed ye bhe khna tha k mashry men zulam k lye to 
adalten mojood hen lekin gharon men hony waly zulam pr kisi  bhe adalat 
sy rujuu nhe kiya ja skta . Molana 
Tariq Jameel shab ny
 kha k adalti nizam ko tabdeel kiye bgair zulam ka khnatma nhe kiya ja 
skta. Apny is address men molana sahab nhe adalti nizaam ki tabdeeli pr 
bhe zor diya hai or bataya hai k zulam ko kis trah khatam kiya ja skta 
hai or insaf ko kis trah aam kiya ja skta hai. hamen chahey k ham sb ab 
apni ikhlaaqi zimmy dariyan puri kr k zulam ko khatam kren or insaf k 
nizamm ko aam krny ki koshesh kren.